bootstrap themes
Garmi ki Chhuttiya'n

Garmi Ki Chuttiya'n

Gao’n ki aabadi dheere dheere badhne lagegi,
Garmiyo’n ki chhutiyo'n ka mausam aa raha hai…

Wo khushaali budhe maa baap ke ghar mein chand din ki mehmaan bankar aayegi,
Jo budhe dada dadi ko apne pota poti se milaegi..

Ek arse se taras rahe thay jo maa baap apne beta beti ko dekhne,
Chand dino me unki dua asar layegi…

Wo soone khet khalihan, wo baag saare,
Ab unme bhi mausam e bahar aayegi..

Gao’n ka peepal ka ped, phir se jhoola ban jayega,
Bachcho’n ki khilkari phir se sunne aayegi..

Ek mela sa lag jayega gao’n mein,
Jald hi garmiyo’n ki chhutiya'n aayegi…

-Faisal Khatri

FACEBOOK COMMENTS WILL BE SHOWN ONLY WHEN YOUR SITE IS ONLINE

SHARE THIS PAGE!

FOLLOW NOW!

© 2018 Designed by Faisal Khatri. All Rights Reserved.