free css templates
Waqt aisa bhi sitam karta hai


Waqt Aisa bhi Sitam Karta hai

Samjha tha jinhein maine apne budhape ka sahara,
Har waqt rakha tha jinehien kaleje se lagakar,
Aaj aasa* haath mein dekar usne mujhe tanha chhorra hai, haan,
Waqt aisa bhi sitam karta hai..

Maine jinke liye sab kuch loota diya,
Aaj unhone hi mujhe ghar se nikal diya,
Jeena ka na koi sahara diya, haan,
Waqt aisa bhi sitam karta hai..

Bachpan mein Ungli pakad kar chalna sikhaya tha jinhein,
Har ek khwahish poori kar maze dilaya tha jinhein,
Aaj unhone mujhe ye din dikhlaya hai, haan,
Waqt aisa bhi sitam karta hai..

Maine to jee hai li hai apni zindagi pyare,
Tum magar ab sambhal jao pyare,
Jaisa hua hai mera haal, na haal wo tumhara ho,
Main to keh raha hu, kahin tum bhi na yehi kaho, ke haan,
Waqt aisa bhi sitam karta hai…!!

-Faisal Khatri.

[*aasa – Old man’s Stick.]

FACEBOOK COMMENTS WILL BE SHOWN ONLY WHEN YOUR SITE IS ONLINE

SHARE THIS PAGE!

FOLLOW NOW!

© 2018 Designed by Faisal Khatri. All Rights Reserved.