Tere saath jo dekha tha wo khwab aaj bhi wahi hai,
Bass raahein bichhar gayi, zindagi ulajh gayi…!!
Badi muddato’n ke baad dastak di hai dil par kisine,
Mujhe yaad phir wo wafa ke zamane aaye hain…!!
Wo baat ek khwab ki, pehli mulakaat ki,
Mujhe yaad hai ab talak, tumhe yaad ho ke na yaad ho… !
Halki Halki si barish aur chai ki khushboo,
Mahaul bana dete hain mohabbat ka rangeen aksar..!
Tafseer kuch yun hai ishq ke taqaaze ki,
Idhar khayal e yaar ka aana, Udhar uska beqarar ho jana...!!
Daastan e Mohabbat mukhtasar hoti agar,
Chand yunhi nahi phira karta badalo'n mein...!!
Zindagi kya hai?
Misl e Hubab,
Uspar bhi itna Rubab!!
Zindagi hai ke roz kam hoti jati hai,
Narazgi, magar, unki kamm nahi hoti….!!
Kuch yaad hai tumne kaha tha, tanha main na rahunga kabhi…
Ye darakht yaad dilata hai tanhai mein tumhara jumla mujhe….!!
Suno tum zara sabr se kaam lena,
Behtareen ki talash mein acho’n ko na kho dena…!!
Aadat meri hai har waqt baatein karne ki,
Tum kahan chale gaye mujhe khamosh karke...!
Zindagi uss maqaam pe aa pahunchi hai,
Jo pehli khushi deti thi, wo baatein bhi ab kuch khaas nahi lagti..!!
Bade naaz se thukrakar meri mohabbat ko,
kisi aur ka hone chali thi,
Faza uss waqt uske shehar me bewafai ki yun chali thi…
Waqt magar badalta hai, shayad wo bhool gayi thi..
Wo bhi hai aaj usi haal mein, jaise mujhe chhor gayi thi…!!
Ittefaaq aisa kyu nahi hota,
Mera raabta mere chahne walo se kyu nahi hota
Mere aziz kabhi kyu nahi milte raah mein,
Mere khayalo ka sach se saamna kyu nahi hota…
Zindagi guzar rahi hai veeraniyo’n se,
Muddat si hui hai kisi se guftagu kiye huwe…
Bahot piche chhoott gaye mere chahne wale,
Ek arsa sa biit gaya hai dil se jeeye huwe… !!
Chhoti chhoti baatein samajhne lagi hai gudiya,
Ab ahista ahista badi hone lagi hai gudiya,
Ab zidd nahi karti khilone laane ki,
Faqakashi aur garibi se ru ba ru hone lagi hai gudiya...!
Naya naya sa likha hua ek kalaam bheja hai,
Janemann khat mein tumhe salaam bheja hai...
Kaisi kat ti hai shaam aur seher hisaab bheja hai,
Lifafe mein likhkar mere naam ke saath tera naam bheja hai...
Bichharr ke arsa sa ho gaya hai tumse,
Bhoolaye nahi jaate aajtak tum humse,
Ye shair, ye nagmein, ye sab tumhare tasawurr mein hi to likhte hain,
Na dil se utre ho, na utroge, Bass kagaz par utarte ho tum, hamari kalamse....!!
Mujhe chehro’n ko padhne ka hunar haasil hai,
Mere saamne tum chehre banaya na karo..!!
Wo B.A. padhi ladki,
Mere dil ki science kya jaane…💞
Main jhoot nahi kehta meri baato'n ka yakeen kar..
Mere chehre se mere lehje ka asar dikhega….!!
Subha se khoya hun khayalo’n mein tere,
Mukhtasar yun samjho ke aaj neend nahi aayegi…!!
Ae Mehboob teri bewafaai ka sau baar shukriya,
Ter na-kaam mohabbat ne mujhe shayar bana diya...!
Kuch Kisse aise hote hain jo bhulaye nahi jaate,
Bass ek bhooli hui yaad bankar hamesha hamare saath zinda rehte hain...!
Teri meri nazar ka milna mahaz ittefaaq nahi,
Ek nayi kahani ki shuruwaat ka andesha hai...!
Ye baat aur hai ke anjaan bana hu'n,
Main jaanta hu'n magar mere saath kaun hai...!!
Main baato'n ki pehal har waqt kar sakta hu,
Shart ye hai tum bhi usi andaz mein saath do...!!
Kabhi baat tak nahi ki, Kabhi naam tak na pucha,
Mera ishq tha ek tarfa, Anjaam tak na pahuncha...!
Kabhi fursat mile to aa kar dekhlo,
Kaise rehte hain aajkal tanha, kal tak jo mehfil hua karte thay…!
Muddat hui hai yaaro'n ko mile huwe,
Wo fankari, Wo adakari, Wo Masti yaad aati hai..!!
Ek garam chai ka cup,
Hazaar gham bhulane ke liye kaafi hai..!
Daastan e dard e dil mukhtasar nahi,
Mere Shair bhale hi mukhtasar kyu na ho..!!
Abhi tum kachche ho mohabbat ke khel mein,
Aankho'n mein dekhkar jhoot bola na karo..!!
Kaash hamein bhi milti garmi ki chhuttiya'n,
Kaash hum phir se bachpan mein laut paate..!!
Sab jaante hain ke jeena muhaal hai,
Phir bhi puchte hain, "Bhai kya haal hai..?"
Muhaal - Difficult
Zarurat ke mutabik yaad karne lage hain log,
Wo mohabbat wala zamana ab nahi raha...!!
Main hu'n, dil hai, tanhai hai,
Phir teri yaad se aankh bhar aayi hai...!!
Mukhtasar lafzo'n mein samjho to keh du'n,
"Mujhe tumse mohabbat ho gayi hai"
Chai se mohabbat behisaab,
Jab peen baithe to kya hisaab..!!
Bahot khamoshi se basar karte hain,
Wo, jinke junoon ka samandar urooj par ho..!
Muddat si ho gayi hai chain se soye huwe,
Khwab kuch aise dekhe hain, ki neend nahi lagti..!!
Lakh naseehatein karein zamane wale,
Dil se kab nikale jaate hain chahne wale...!
Ishq aankho'n se bhi shuru ho jata hai,
Karein hum iqrar ye zaruri to nahi...!
Dekhne mein to lagta hai dil mein bahaar hai,
Andar magar aadmi bahot bezaar hai...!
Teri tasveer hai nigaho'n mein basi hui,
Main aanhein band karke tera deedar karta hu'n..!!
Dusri paari to kahaniyo'n mein kheli jaati hai,
Zindagi to bass ek hi mauka deti hai..!!
Hasrat ye thi ke tum mere ho jao,
Anjaam ye hua ke hum kahin ke nahi rahe..!!
Kahan bhulegi wo pehli mulaqaat,
Sehmi hui tum thi, bhadke huwe mere jazbaat…!
Zindagi basar hui dekho kis ada ke saath,
Waada kiya tha kisise nibhaya kisi ke saath..!
Raat sannati hai, Sitare hain Aasmaan par, aur teri Yaadein mere Dil mein,
Kya tu bhi wohi mehsoos karti hogi, jo hai mere Dil mein....?
Pila de ek cutting chai teri dosti ke naam se,
Phir teri taarif mein likha hua ek shair muft mein sunn..!
Teri aankho'n mein kho jane de,
Iss dariya mein utar jaane de..
Sahil se pyase ko wapas na kar,
aaj mohabbat ke geet gungunane de....!
Tere jhoote waado'n ka aitbaar karta hai
Koi tujhse yun bhi pyaar karta hai...!!
Tum shehar ki riwayat se anjaan ho mere dost,
Yahan "Yaad" rehne ke liye, "Yaad" dilana padta hai...!
Kaash ke mil jaaye wo bachpan phir se,
Jahan khushiya'n hi khushiya'n thi, koi gham na tha....
Ek shaam yun bhi tumhare naam karu,
Izhar e mohabbat tumse sar e aam karu…!!
Mere armaan mere lifafe ke saath le ja,
Khabar de mere yaar ko, ke main tanha bahot hun....!!
Chandni raat aur tum,
Ye haseen lamhaat aur tum..
Mulakaat ke lamhein khoobru,
Meri mohabbat aur tum...!
Kahan tum leke kismat ka fasana baith gaye,
Hum wo nahi ke haatho'n ki lakeero'n pe aitbaar karein...!!
Wo taaro'n se raushan raat,
Tujhse wo pehli mulakaat
Wo muhabbato'n ki baat..
Dil mein machalte jazbaat...
Tera aur mera saath..
Kahin phisal na jau'n chalte chalte..
Keh do apni yaado'n se ruk jayein
ke iss waqt mere shehar mein barish ka sama hai…!
Ek tu hi to tha azeez mera,
Tu bhi badal gaya, Waqt ki tarah...!!
Wo zamana aur tha ke poora shehar lagta tha apna ghar..
Ab to parchhai se bhi mujhko apne lagta hai darr....!
Mat pooch ke mere jeene ka hausla kya hai,
Subah o shaam ki chai ne mera Hosh sambhal rakha hai..!
Jhuki jhuki nazar teri kamal kar jaati hai,
Uthe jo ek baar toh sau sawal kar jaati hai...!
Bahot udaas hota hai jee,
Jab bhi tumse baat nahi hoti....!!
Waqt e aakhir hai kisi se kya gila karu'n,
Maafi talab hu'n, Bakhsh do, to chalu'n...!!
Main to aashiq hu'n, ashq nahi bahata,
Qalam chalata hu'n....!
Apni manzil par nazar rakh pyare,
Duniya to dhyan bhatkate rahegi...!!
Ye roshni hai kahan tak phaili hui?
Raat hai magar andhera nahi kahin...!!
Maine seekh liya hai Jeena Tanha,
Ab koi acha bhi lage to hum izhaar nahi karte...!!
Baharein laut aai hain apne waqt par lekin,
Tera laut aana mujhe mumkin nahi lagta...!!
Mere ustaad e mohtaram aapka hazaar shukriya,
Iss anpadh ko kaabil e taarif bana diya...!!
Ek nayi subah, ek naya savera,
Kuch naya kar dikhane ka haseen mauka hai.. !
Ab bhi waqt hai jee lo,
Zindagi aaj bhi tumhari mutthi mein hai...!!
Bade hone pe sabse bada nuksaan ye hua,
Wo pariyo'n ki kahani wala bachpan chala gaya…!!
Dil mein basa ke rakhi thi jo surat,
Ab Tasveer ki shakl mein deewar par laga rakhi hai...
Humko malum hai laut ke aana na mumkin hai tera,
Ek aas magar iss dil ne laga rakhi hai..!!
Dard ki lazzat pucho humse,
Humne har lamha iska maza chakha hai..!!
Chirag jalta rahega teri yaad ka raat bhar,
Hawao'n se keh do, apna zor aazma lein...!!
Tumne sikhi hongi kitabo'n se akhlaqi baatein,
Humko to Sharafat bhi Virasat mein mili hain...!!
Sardiyo'n ki sard shaamein,
Ek cup garam chai, aur teri yaadein....!!
Kuch khwab aise hote hain,
Jo sone nahi dete...!!
Ye Bambai hai meri jaan,
Yahan ke logo'n ke hausle yahan ki Imarato'n ki tarah buland hain...!
Wo zamana gaya ke aankho'n se dil ka haal jaan lete thay log,
Ab to lafzo'n ka asar bhi aksar nahi hota...!!
Main kis zabaan se kahu ke khush hai Tu,
Tere mizaaj ka koi aitbaar nahi..!!
Tumhi Keh do Tumhein kaise yakeen dilau'n
Ke main bass tumhi ko har dum chahu'n
Mere khayalo'n ki duniya mein sirf tum hi ho jaana
Kin lafzo'n mein ab main tumhe yakeen dilau'n...?
Bujha bujha sa aajkal rehta hai,
Mera dil teri talash mein aajkal rehta hai...!
Falak par chand, zameen par main,
Ajeeb ittefaaq hai wo bhi tanha main bhi tanha...!
Watq hai ke zara theharta nahi,
Hafta hai har baar itwaar le aata hai..!
Mujhse duur raha karo,
Qurbat ishq ka aaghaz karegi..!
FACEBOOK COMMENTS WILL BE SHOWN ONLY WHEN YOUR SITE IS ONLINE